Windows 10 update Kaise kare? Dosto laptop/desktop to sabhi use karte hoga. aur uska ander kai type ka operating system hote h jaise linux,windows etc jyada tar log windows use karte hai. aur kuch aisa sawal aapka bhi mun me aate honge. windows ko update kaise kare? windows ko full upgrade kaise kare ? windows ko updte kyu kare ? windows ko update karna ka kya fyada hai ? aaj mai aap sub ko sub bataonga ki aap apne windows 10 ko update kaise kar sakte hai . update karne ka kya fyada hai ? windows update kyu kare ?
Agar aapko nahi pata ki akhir windows hai kya to niche ke paragraph ko dhayan se padhye kyu ki uske baad aapko pata chal jaiga windows 10 kya hai
Table of Contents
Windows kya hai
Dosto jaisa ki smart phones ke andar android aur ios name ka Oprating system hota hai waise hi laptop aur desktop me bhi kai trha ke Oprating system hota hai jinki madad se vo chalta hai. Windows bhi unhi me se ek hai
Windows 10 bhi computer ka ek Oprating system hai jiska upyog computer ko chalane me kiya jata hai jise microsoft ne banaya hai.
Aaj ke time me jab bhi aap kabhi laptop kharidoge to aapko Oprating system windows 10 hi milega matlab windows 10 ka hi trand hai. Isi ko dakhte huye microsoft bahut tezi se windows 10 par kaam kar rahi hai aur bahut se windows 10 ke naye version ke update la rahi hai jise aap free update kar sakte hai. isiliye aaj mai aapko batane wala hu ki windows 10 ko kaise update kare.
Lakin kisi ko pata nahi hai ki hum apne system ke windows 10 ko update kaise kare is liye mai aaj ye post likh raha hu jisme mai aapko windows update karna bataonga to agar aapko bhi windows update kaise kare jaanna hai to is post ko pura padhyega lakin usse pahle aap ye jaan lo ki windows ko kyu update kare windows update karne ka kya fyada hai.
windows update kyun kare
- dosto kabhi kabhi jab hum apne system ko update nahi karte h to usse humara system slow ya hang hone lagta h update karne se humare system ki hang problam aur slow problam sahi ho jate h.
- aur dosto windows ka new update me kuch extra future mil jate hai aur kuch extra improment hoti h is liye hume windows ko update karna chaihye.
- aap ka computer me jo bhi harmful file, virus ya koi computer ko slow karne wale file hoti h vo sub hat jate h aur aapka computer fast ho jata hai.
- Windows up to date rakhne se aapke system me koi virus nahi jata aur aapka system smoothly chalta rahta hai.
windows 10 update kaise kare?
Dosto windows ko update karna bahut hi easy hai bus aap ka laptop me space hona chaihye aur aap ka paas high speed data hona chaihye phir windows update ho jaiga . dosto high speed data ka bare me is liye bool raha hu kyu ki ager aap ka data slow hoga to update hone me bahut time lag sakta hai.
Windows ko update karna ka 2 trika hai aaj mai aap sub ko dono tarika batane wala hu. pahle tarika se aap windows ko update karega to aapko wahi future milaga jo windows ka liye new ayea hai aur ager aap dosra trika se apna windows ko upgrade karte h to aap ka laptop full upgrate ho jaiga.
Mai aapko kahta hu ki aap apne windows ko dono tarah se update kar le jisse aap ka system bilkul fast ho jaye.
windows ko settiong se update kaise kare
dosto windows 10 ko nomal update karna bahut easy hai aap easly update kar sakte hai chalye step by step jaante hai ki windows ko update kaise karte hai.
1 . subse pahle aapko apne computer ko internet data se connect karna hai dosto internet ki speed thodi high ho to achcha rahaga windows update jaldi ho jaiga.
2 . ab aapko windows ki settings me jana hoga. settings me necha ki taraf update & security ka option hoga aapko usper click karna hai. click karte he aap ka samne check update ka option dikhaga.
3. apko ab check for update per click karna hai click karte hi windows ki taraf se jitne bhi update hoga sub update ho jaiga
To dosto ya pahla tarika tha jisse aap apne windows ko aap settings se update kar sakte hai ab chalye dosto windows update karna ka doosra tarika jaante hai jisse aapka windows ka full version update ho jaiga
windows 10 ko full update kaise kare
dosto ya windows ko update karne ka doosra tarika hai isse humara windows full upgrade ho jaiga aur super fast chalaga. dosto ya update 2-3 gb ka hota h to aapka paas high speed data hona chaihye warna update hone me bahut time lag sakta hai to chalye step by step ya tarika bhi jaante hai.
step 1. sub se pahle hume google per search karna h windows 10 aur waha per jo sub se pahle website show ho use open karna h ya yaha click karke us website per ja sakte hai
step 2. ab aap ka same update ka ek options aa raha hoga aap ko waha click karna h
step 3. ab aap ka laptop me ek chote se exe file (softwere) download hogi download hone ka baad aapko use install kar lana h aap ka laptop me windows 10 update assistet name ka softwere install ho jaiga
step 4. ab aapko us app ko open karna h open hone ka baad aap ka samne check update ka option hoga aap ko waha click karna hai
step 5. ab windows ki traf se jo bhi update hoga vo aap ka samne dikh jaiga aur uske samne vo kitne mb ka hai vo bhi likha hoga aapko update now ka option show hoga aapko update now per click karna hai.
step 6. ab aapke system ka space etc ko check kiya jaiga aap ok per click karde click karte hi aap ka windows update hona start ho jaiga update hone me kuch time lag sakta hai ye aapke data speed par depend karta hai lakin aap boor mat hona use minimize karke kuch bhi kaam laptop me kar sakte ho.
step 7. jab 100% update complete ho jai to aapka samne restart ka option dikhaga aap ko restart per click karna h restart per click karne se pahle ek baat ka dhayen rakhe ki aapka laptop charge me na laga ho.
restart per click karne ka baad aapka laptop automatic update setup karega aapko kuch nahi karna h kuch hi time me aap ka laptop update ko setup karke use karne ka liye ready ho jaiga.
To ab aap jaan chuke hai ki windows ko kaise update karte hai aap uper bataye dono tariko ki madad se windows ko update kar sakte hai aur apne system ko fast aur secure rakh sakte ho.
Ye thi humari Aaj ki post (windows 10 ko update kaise kare) jisme Maine windows 10 ko update karne ke 2 tarike bataye hain ummid hai abtak aapna apne system ke windows 10 ko update kar diya hoga aur apne system ko smoothly run kar pa rahe honge.
Is article me humne aapko bataya
- Windows kyu update kare
- Windows kaise update kare
- Windows update karna ka tarika
dosto aapko kaisa laga ya post comment karke jarur batayega aur iske bare me kuch sawal ya sujhav ho to vo bhi comment kar ke poch sakte hai.
Amazing information dear bro..
Thanks keep visit
Meta PC update bar bar fail hota hai. Kyou?
Bhai internet check karo aur dakho jis drive me tumhare windows ki file h wahan pr space h ya nahi
Sir, government Pc and laptops hai, because of security reasons hum internet connect nahi kar sakte hai. So please tell me how windows update.
aap kya kahna chate h mai samjha nahi
nICE iNFORMATION sIR
Very useful information